Friday, February 8, 2008

"zindagi kaisi chal rahi hai?"

alright, surprisingly an attempt at creation in hindi... this was in response to the oft asked question "zindagi kaisi chal rahi hai?"

zindagi chal rahi hai...
kabhi dheere, kabhi tez...
apni raftaar woh mere liye nahi badalti...
kabhi woh mere aage hoti hai,
kabhi woh mere peeche.
raftaar uski aur main us se alag.
ham kabhi ek nahi hue,
hue toh yeh nahi dekha,
ki hum main se kaun tez hua,
aur hum main se kaun dheere.

zindagi chal rahi hai...
uski apni kahaani hai,
jo kehti hai mujhse
tu likh,
par jab main likhti hoon,
toh na kahaani meri rehti hai,
na uski,
woh toh kisi teesre ki ho jaati hai.

Aur woh teesra kaun, aap poochenge,
Woh aap hi toh hain.
Jo sun rahe hain,
padh rahe hain.
yeh kavita, yeh kahaani
ab aap ki hai,
aur main puch rahi hoon -
zindagi kaisi chal rahi hai?

1 comment:

delhidreams said...

jaise chale hai prithvi/
suraj ke chahun or//
jaise chale pawan, abaadh, nirantar/
is chhor se us chhor//

jaise chale hai maan/
bacche ko godi mein uthaye//
jaise chale bacche ki zubaan/
har shabd pe tutlaye//

jaise chale hai premi ki dhadkan/
tej, dheere, maddham-maddham//
jaise chale sparsh ka spandan/
choota gehre har kampan//

bus waise hi kuch chale hai zindagi
aawargi, tishnagi, teergi aur bandagi